Showing posts with label Urdu poetry of Taskeen. Show all posts
Showing posts with label Urdu poetry of Taskeen. Show all posts

14 January, 2014

اردوغزل


Ghazaal
Mere jazbo’n mere khwabo’n ko ujara us ne
Kaise, kaise, dekho to meri dunia ko bigara us ne

Ah! Wafao’n ka meri us ne sila khoob dia hai
Khoob mere lahoo se apni jafa ko sanwara us ne


Bun gaye kisa e parina wo beete hue lamhat tamam
Az bus kay, rasm e ulfat ko apne hathon se bigara us ne


Soye jazabat kaha aaj ye jagay hai n taskeen
Ik muat hui hai aray dil se utara us ne

(...) Taskeen Jamal (,,,)


04 January, 2014

Qataa (Urdu shairi)

Qataa

KUCH IS TERHA WO QIAD SEY MANOUS HO GYA

PINJARA KHULA THA PHIR BHE PRINDA URDA NAHI


MANZIL KA RASTA USEYY MALOOM THA MAGER

MANZIL KEE SIAMTT JANEYY KIOUN WOO MURAA NAHI


Taskeen Jamal

30 December, 2013

Urdu shair (by Taskeen Jamal )

Taskeen Jamal



Taskeen’s Urdu Poetry

HAM TERI BAZM SE NIKLAY BHI TO ESAY NIKLAY
KIA KOI GHIAR BHI NIKLAY GA K ESAY NIKLAY

YOUN JIYE JATAY HAIN UMEED PEY PUREY HOUN GEY
NIKLEY, NIKLAY MEREY ARMAN KAHAN TAKK NIKLEY

KIOUN TERII RASAM -E-JAFA KO HEY WAFA MANEY HAMM
POUNCHEY HER BAR WAHEYN HER BAR JAHAN SYEY NIKLEY

AIK UMMED WA NA UMMED MAIN GUZREE TASKEEN

DIL KO PHIR BHHEE ZID HEY YEHI BAT KAHAYN SEY NIKLEY




Taskeen Jamal


27 December, 2013

Urdu Ghazal (by Taskeen Jamal)





Ghazaal

Her Chand Aap se na Mulakat ho saki
Dil Muztarib raha magr na baat Ho saki

Israr tha ye unka, kuch bat main karo’n
Lab sil gaye thay mere na baat ho saki

Beetay dinu ki yaad ne bechain kar dia
Bharti gai kasak magr na nawzishat ho saki

Honay ko har ik cheez thi sath mere Jahan ki
Ik Teri wafa thi jo na mere saath ho saki

Jisko banana chaha tha apna jahan hum ne
Ik Wohi chahat meri na kainat ho saki

Taskeen kam naseebi ka gila acha nahi hai yar

Kami koi aur thi jo pyar kin a barsat ho saki

<<<<<<<Taskeen Jamal>>>>>>>>>>>





25 December, 2013

Qata (Urdu)



Qata

Apne Jazbat hain lafzon main Sajaye Hum ne
Ashk ankho’n se Issi Madh main bhaye hum ne

Apni Socho’n ko Tere Nam se Mansoob kiya
Yad-E-Rafta Se Hasee’n lamhay Taskeen Churaye Hum Ne

  • <Taskeen>.........<Jamal>

23 December, 2013

Qaataa (by Taskeen Jamal)


Taskeen Jamal's Urdu poetry


Qaataa

Hamri Ankh K Ansuu Zamee’n Pe Youn Nahi Girtay
Hamay Dil k Daryia Ko Chalkhney ki Nhi Adat
Hmara Dil Hamra Hai Magar Itna Nahi Nazuk 
Kisi Ki Yaad Main Dil ko Terpeny Ki Nahi Adat


Taskeen Jamal



Khwahish (Urdu Nazam)

Khwahish

Qurb Ki Rut,
Hra Bhra Mosam
Wasl Ki Anch aur
Dhoop Jarey ki
Aise Mosam Main
Tujh Se Milnay Ki
Dil Main
Damm Torti Khawish
Jaise Jugnu
Udass Ratoo Main
Shakh Der Shakh
Jis Tarha Bhatktay zard patay

Khiza’n kay Hatho’n main




Taskeen Jamal

21 December, 2013

Urdu Ghazaal




Ghazaal

Mujhey Gardab itna bha gaya hey
Kinarey abb burey lagnay lagay hain

Khudee sey Ashna main ho gya houn
Saharey abb burey lagnay lagay hain

Khudara khir'kiya'n abb band ker lo
Ishareyy abb burey lagnay lagay hain

Inhain Asma'n sey Noch lo Wallah!
Sitray abb burey lagney lagay hain

Terey jatay hee kiou'n in wadiou'n kay
Nazarey abb burey lagnay lagay hain?

Gharibo'n ko nhi milti dhoop Jroo’n main
Chobaray abb burey lagnay lagay hain


By:

Taskeen Jamal
Blogger Widgets